pyar aur dard ka rishta |
pyar aur dard ka gehra rishta hota hai
|
dono hai alag phir bhi hume bhigota hai
|
dono mein hi ankhon se nikalte hai ansoon
|
dono mein hi dil sisak sisak ke rota hai
|
tassali dene wale tho mil jate hai bahut
|
marham-e-dava karnewala koi na hota hai
|
chot tho hume lagti hai magar is kadar
|
gale lagao jitna,mann aur chain khota hai
|
unke chehare par gum,andar muskan ke saye
|
dusre ka gum dekh,koi aur kush hota hai
|
itna na karo jatan,ke khud ko baitho bhulaye
|
duniya ke samane tera fasana chota hai
|
palkon ka parada hatao,sitare gulshan sajaye
|
aisa kabhi na soch ke har rab rutha hai
|
|